Wednesday, March 2, 2016

#CelebratingYou this Women's Day




Pehan leti hoon mausam kaan mein jhumki banakar jab,
Toh baadal aasmano mein bhi aksar muskurata hai,
Subah jab dhoop ki payal pehen kar ghar se nikloon mein,
Toh yuh lagta hai mere saath lamha gungunata hai,

Libason ki tarah mere hazaron rang hai lekin,
Badal jaana meri fitrat mein shamil nahi hai,
Khud apna hausala hoon zindagi mein isliye shayad,
Mein jo chahoo karu, kuch bhi yaha mushkil nahi hai,

Magar jab bhi mitaaoge, mein wapas laut aaungi
Ke jaise pattharon ki aankh mein ek phool khilta hai
Mein manmaani hawa hun, raasto se mujhko kya lena,
Jidhar chal doon udhar hi, raasta har baar milta hai


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Like us On Facebook

Followers