Wednesday, March 2, 2016

#CelebratingYou this Women's Day




Pehan leti hoon mausam kaan mein jhumki banakar jab,
Toh baadal aasmano mein bhi aksar muskurata hai,
Subah jab dhoop ki payal pehen kar ghar se nikloon mein,
Toh yuh lagta hai mere saath lamha gungunata hai,

Libason ki tarah mere hazaron rang hai lekin,
Badal jaana meri fitrat mein shamil nahi hai,
Khud apna hausala hoon zindagi mein isliye shayad,
Mein jo chahoo karu, kuch bhi yaha mushkil nahi hai,

Magar jab bhi mitaaoge, mein wapas laut aaungi
Ke jaise pattharon ki aankh mein ek phool khilta hai
Mein manmaani hawa hun, raasto se mujhko kya lena,
Jidhar chal doon udhar hi, raasta har baar milta hai


All best moments happen in the dark


Saturday, February 20, 2016

For all the women you are




Share the load




Mahira | Official Music Video


Lyrics:


Yahan Wahan Kahan Kahan
Nahi Pata Mujhe Abhi Yeh Nazar Kahan Hai
Jo Dikhe Wohi, Madhoshi Mein Dooba Hai
Kal Aaye Ya Na Aaye Humne Kya Yeh Tum Se Poocha Hai
Kal Ki Kisko Fikar, Jab Manzar He Aisa Hai

Do Pal Ki Hai Duniya, Do Pal Ki Hai Yeh Saugate
Bhool Ja Dukhiye Saare Aaja Iss Rang Mein Rang Ja Re
Ankhon He Ankhon Mein Jahan Hote Hain Ishare
Aaja Aaja Abh Tu Bhi Kho Ja Re

Kya Hasin Saman, Kya Hasin Yeh Pal
Hai Gazab Magar Kya Wahi Duniya Hai
Anjan Abh Tak Thi, Abh Har Sang He Mera Hai

Do Pal Ki Hai Duniya, Do Pal Ki Hai Yeh Saugate
Bhool Ja Dukhiye Saare Aaja Iss Rang Mein Rang Ja Re
Ankhon He Ankhon Mein Jahan Hote Hain Ishare
Aaja Aaja Abh Tu Bhi Kho Ja Re

Hai Mahira...

I AM SORRY #ShareTheLoad


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Like us On Facebook

Followers